Wednesday 10 February 2016

Love shayari in hindi 2016 Hum agar saath aa gaye hotay to zindagi har tarah se mumkin hoti

Love shayari in hindi 2016 Hum agar saath aa gaye hotay to zindagi har tarah se mumkin hoti
Love shayari in hindi 2016 Hum agar saath aa gaye hotay to zindagi har tarah se mumkin hoti





Kya-kya hua hai hamse junu mein n puchiye,
uljhe kabhi jami se, kabhi aasma se ham.

Tu suraj ki aankh se jhanke, pal-pal waar kare,
main ek pedh ki ghayal chaya, mera kis par jor.

Sabhi gam hai yaha no-ratn mere,
main apne daue ka akbar raha hu.

Gunaah kya sanam ke nazare mein jaahid,
khuda ne ye jalwa dikhaya to dekha.

Aye dost maut ka to nahi khauf kuch hame,
ha, kaapte h teri judai ke dar se ham.

Chup ho gaya hu aapki surat ko dekhkar,
karni thi aapse mujhe kitni shikayate.

Waqt jo mere ikthiyar mein tha,
main usi waqt ke hisar mein tha.

Kabhi wafa mein agar ho to jafa n kare,
salah dete hai kya-kya salahkar mujhe.

aati hai dil mein aur hi surat nazar mujhe,
shayad ye aayina bhi kisi ke huzur hain.

Kaha yaaro, dubo de kufro-imaan,
abhi sagar mein itni bach rahi hai.

Rukshar par hai range-haya ka nikhar aaj,
bose ka naam maine liya wo nikhar gaye.

Ilahi, raahe mohaabt ko the kare kyu kar,
ye rasta to musafir ke sath chalta hai.

Tadbeer se kismta ki burayi nahi jati,
bigdi hui takdeer banayi nahi jaati.

Wo ek raat gujar bhi gayi magar ab tak,
visale-yaar ki lajjat se tootta hai badan.

Wo mera unse shikayat bhi n karne ka khayal,
aur wo unka nighao ko jhukaye rakhna.

Badhe sidhe sade badhe bhole bhale,
koi dekh iss waqt chehra tumhara.





















 
http://www.newsongshd.com/

No comments:

Post a Comment