Wednesday 10 February 2016

Friendship shayari 2016 Kehna hai aaj tujse par kisi se ye kehna nahi rehna hai saath tere warna

Friendship shayari 2016 Kehna hai aaj tujse par kisi se ye kehna nahi rehna hai saath tere warna
Friendship shayari 2016 Kehna hai aaj tujse par kisi se ye kehna nahi rehna hai saath tere warna





N garaj kisi se, n wasta, mujhe kaam apne hi kaam se,
tere jikar se, teri fikar se, teri yaad se, tere naam se.

Wo nahi bhulta kaha jau,
haye mein kya karu kaha jau.

Aehd-e-ek umar-e-faragat se bhi kushtar gujra,
wo jo ek lamha tiri yaad mein hum par gujra.

Usko bhule to ho hue 'fani',
kya karoge wo agar yaad aaya.

Jer-e-deewar jara jhank ke tum dekh to lo,
natwa karte hai dil tham ke aahe kyunkar.

Bansuri baj rahi hai door kahi,
raat kis darja yaad aaye tum.

Kali ghata mein konda lapka, ro ke jo koyal kook gayi,
jitni gehri saans kinchi thi, itni lambhi huk gayi.

Dil mein ab tab-e-jabt bhi to nahi,
aap kyu yaad aaye jate hai.

Wo khud taskeeen-e-khatir kar rahe hai,
magar dil hai ki duba jar aha hai.

Shab-e-vishal yeh andhere kya kiya maine,
ki unko leke the-e-aasma nikal aaya.

Shab-e-wasal ki kya kahu dasta,
jaba thak gayi guftgu reh gayi.

Milte hi kisi ke kho gaye hum,
jage jo naseeb, so gaye hum.

Tum n aaye kya sehar n hui,
ha, magar chain se basar n hui.

Bijliya toot padi jab wo mikabil se utha,
mil ke palti thi nigahe ki dhua dil se utha.

"fani" ummid-e-rmarg ne bhi de diya jawab,
jeene ki hijar mein koi surat nahi rahi.

Furkat se teri taar-e-nafas seene mein mere,
kanta-sa khatkata hai nikal jaye to accha.





















 
http://www.newsongshd.com/

No comments:

Post a Comment