Love shayari hindi 2016 Jaam pe jaam peene say kya faiyeda raat guzri to uthaar jaayegi |
Mere hi shok ne baksha teri garden ko yeh kham,
teri aankho ko churi di tujhe jallad kiya.
Dil ko barbad karke baitha hu,
kuch kushi bhi hai, kuch malal bhi hai.
Dilo ko fikre-do-alam se kar diya aazad,
tere junu ka khuda silsila daraz kare.
Josho-junu mein wo tere wehsi ka chikhna,
band apne hath se dare-jinda kiye hue.
Hamare kaam aakhir aa gaya josho-junu warna,
khirad ki rehbari mein ham khuda jane kaha jate.
Meri deewangi par hasne wale, puctha hu main,
agar ho itefaaq aisa ki tu deewana ho jaaye.
Jo thodi der n aata khyale-tanhai,
tumhare sehar ki hass se nikal gaye hote.
Log hi aan ke yakja mujhe karte hai ki main,
ret ki tarah bikhar jata hu tanhai mein.
Dum liya tha n qayamat n hnoj,
fir tira waqt-e-safar yaad aaya.
Waado pe kyu nahak ummid ki taakide,
bandit hai kahi jaalim, tuti hui ummide.
Jeete je kuch-e-dildar se aaya n gaya,
uski deewar ka sar se mere saya n gaya.
Bakt-e-rabd ne wo draya hau ki kaanp uthta hu mein,
tu agar lutf ki baate bhi kabhi karta hai.
Thani thi dil mein ab n milenge kisi se hum,
par kya kare ki ho gaye lachar ji se hum.
Dil aur hath tehye-e-tark-e-khayl-e-yaar kare,
kise yakeen hai kon is pe aitbar kare.
Basa aukat dil ke sath bar-e-gam uthane mein,
suna hai husn bhi apni najakat bhul jata hai.
Ho gayi sehar-sehar ruswayi,
aye meri maut tu bhai aayi.
No comments:
Post a Comment