Wednesday 10 February 2016

Romantic shayari 2016 Waise to jee leete hain sabhe akaile magar phir bhi zaroraat inki har kisi

Romantic shayari 2016 Waise to jee leete hain sabhe akaile magar phir bhi zaroraat inki har kisi
Romantic shayari 2016 Waise to jee leete hain sabhe akaile magar phir bhi zaroraat inki har kisi





Ye dil ke daag to dukthe the yu bhi, par kam kam,
kuch abke aur hai hijran-e-yaar ka mausam.

Aah wo yaad ki jis yaad ko hokar majbur,
dil-e-mayus ne muddat se bhula rakha hai.

Kya sunate ho ki hai hjijar mein jeena musqil,
tum se bereham pe marne se to aasa hoga.

Hoti nahi hai subh, n aati hai mujh ko neend,
jisko pukarta hu wo kehta hai mar kahi.

Koi chutki-si kaleje mein liye jata hai,
hum teri yaado mein gaafil nahi hone paate.

Gujar gayi had se jab mohabbat to ek aisa bhi waqt aaya,
ki koi baitha hua hai baali pe aur kisi ko khabar nahi.

Yaad-e-aabru mein hai 'akbar' mehve kyu,
kab teri yeh kajkyali jayegi.

Kafiyat-e-chasam uski mujhe yaad hai 'sauda',
sagar ko mere hath se lena ki chala mein.

Dekhe ya sune hai tumne kahi aise bhi sharabi kuch to kaho,
jo ubhare ho mehkhano se aur dube ho paiamano mein.

Raasiq ki faqamasti se allah ki pannah,
khata h sukhe tukde bhigokar sharab mein.

Kab toothi h tauba hamari sharab se,
lekin hai dar teri nighae-neembaaz se.

Shukriya aye gardishe-jaame-sharab,
main bhari mehfl mein tanha ho gaya.

Mere surur andaja-e-sharab n kar,
mera surur bandaja-e-sharab nahi.

Yu to peeta nahi, pee leta hu gaahe-gaahe,
wo bhi thodi si maja mooh ko badalne le liye.

Kaid peene ki nahi pee kar behkna jurm hai,
maine samjha hi nahi dasture-mehkhana abhi.

Kambakat ne sharab ka jikar iss kadar kiya,
waayiz ke mooh se aane lagi bhu sharab ki.





















 
http://www.newsongshd.com/

No comments:

Post a Comment