Wednesday 10 February 2016

Shayari hindi 2016 Ankhoon ke isharay samaj nahi patay honton se dil ki baat keh nahi paatay

Shayari hindi 2016 Ankhoon ke isharay samaj nahi patay honton se dil ki baat keh nahi paatay
Shayari hindi 2016 Ankhoon ke isharay samaj nahi patay honton se dil ki baat keh nahi paatay




Dil ko kya ho gaya khuda jaane,
kyu hai aisa udas kya jaane.

Mehkada hai yeh samjh-bujh ke peena aye rind,
koi girte hue pakdega n baaju tera.

Mujhe to aaj btaya hai badlo ne 'fahad',
wo laut aane ke raste talash karti thi.

Jagah dil mein de di phir najar se gira diya,
chirage mohbbat mein jalakar bhuja diya.

Gujre hai aaj ishq mein hum uss muqam se,
nafrat si ho gayi h mohbbat ke naam se.

Do din mile to hai dushman ye zamana,
lekin mit nahi sakta mohbbat ka fasana.

Intejaar unka bas aye dil mustaaq n kar,
we kisi aur ke mehmaan bane baithe hai.

Sabe furkat mein ro-ro ka sehar ki,
haqiqat kya kahu mein raat bhar ki.

Ummid-e-karam ki hai ada meri khata mein,
ek baat nikalti hai meri lagjish-e-pa mein.

Gila kuch nahi mujhko wayiz se lekin,
yeh kon aapka tajkara karne wale.

Thaki-thaki si fjhaye, bujhe-bujhe taar,
badhi-udhas ghadi hai jara tehar jaao.

Jaha tak dil ka shirja faraham karta jata hu,
yeh mehfil aur darham, aur barham hoti jati hai.

Jee dhah jaye hai seher se aaj,
raat gujregi kis kharabi mein.

Khyal tha tere pehlu mein kuch suku hoga,
magar yaha bhi wahi ijtirab-e-peham hai.

Yeh apna hal hai ufadgi se ab ki pehro tak,
najar aaya jaha par saya-e-dewar baithe hai.

Kuch iss nigah se dekha tha mujhko saaqi ne,
chute saharb magar shan-e-bekhudi n gayi.




















 
http://www.newsongshd.com/

No comments:

Post a Comment