Wednesday 10 February 2016

Hindi love shayari 2016 Safaray hayaat tabhe tamaam ho jaayega jis jaga tum mera saath chorr jaogay

Hindi love shayari 2016 Safaray hayaat tabhe tamaam ho jaayega jis jaga tum mera saath chorr jaogay
Hindi love shayari 2016 Safaray hayaat tabhe tamaam ho jaayega jis jaga tum mera saath chorr jaogay





Nigah-e-yaar hamse aaj be takseer firti hai,
kisi ki kuch nahi chalti hai jab takdeer firti hai.

Hai kuch aisi hi baat jo chup hu,
warna kya baat kar nahi aati.

Rukh-e-roshan ke aage shem rakhkar wo yu kehte hai,
udhar jata hai dekhe ya idhar parwana aata hai.

Rashk-e-aaina hai uss rashk-e-kamar ka pehlum
saaf idhar se najar aata hai udhar ka pehlu.

Yaar se ched chali jaye 'asad',
n sahi Milan to hasrat hi sahi.

Jabane-hosh se ye kufr sarjad ho nahi sakta,
mein kaise bin piye le lu khuda ka naam hai saaqi.

Mujh tak tab unki bajm mein aata tha daur-e-jaam,
saaqi ne kuch mila n diya so sharab mein.

Wayiz, n tum piyo, n kisi ko pila sako,
kya baat hai tumhari sharab-e-tahur ki.

Hai har tarah se ishq mein matti 'sehar' kharab,
kue-buta mein chain, n kue buta se door.

Dikhawe ke hai sab ye duniya ke mele,
bhari bajm mein ham rahe hai akele.

Faraham kar raha hu apni barbadi ki afsana,
jo galiya maine dekhi thi, wo galiya dektha hu main.

Mauj ne dubne walo ko bahut kuch palta,
rukh magar jaanib-e-saahil nahi hone paya.

Chala jata hu hasta-khelya mauj-e-hawadish se,
agar aasaniya ho zindagi dushwar ho jaye.

Dekhiye ak ki gham se mera jee,
kya bachega, bachega, kya hoga.

Yeh apna haal hai uftadgi se ab ki pehro tak,
najar aaya jaha par saya-e-deewar baithe ho.

Kya hase ab koi, aur kyu roo sake,
dil thikane ho to sab kuch ho sake.





















 
http://www.newsongshd.com/

No comments:

Post a Comment