Wednesday 10 February 2016

Shayari hindi love 2016 Ankhoon mai armaan diya karte hain hum sabki neend chura liya karte hain

Shayari hindi love 2016 Ankhoon mai armaan diya karte hain hum sabki neend chura liya karte hain
Shayari hindi love 2016 Ankhoon mai armaan diya karte hain hum sabki neend chura liya karte hain




lakh duniya ke masayib ne bhulana chaha,
tum beharhal kareebe–dil–tanha nikle.

baaton-baaton me kuch esi baat usne ched di,
jab tak aate–aate hume maddoja jata raha.

khuda panah me rakhe kashakash-e-gham se,
aisi se taar–e nafas jald toot jata hai.

diyare sham ke kaidi tujhe mubarak ho,
main khaab dekh raha hoon teri rihaayi ka.

Sooraj doobne aaya jab kuch,
samne aayi duniya tab kuch.

rang foolon ka ud gaya shaida,
jab kabhi un labon ki baat aayi.

wo lab khulein to bikhar jaayein naghma–haaye–iram,
wo aankh uthe to baras jaaye kaife–maikhana.

Khayl aur kisi ka agar nahi, n sahi,
tujhe to chain se tera shabab rehne de.

Nighao mein firti hai aatho pehar,
qayamat bhi jaalim ka kad ho gayi hai.

Kis shok, kis tamnna, kis darja sadgi se,
ham aapki shikayat karte hai aap hi se.

Kuch nahi kehti wo nigah magar,
baat pahuci hai kaha se kaha.

Baad ek umar ke maikhane mein aay hai 'riyaj'
aap baithe hai bchaye hue daman kaisa.

Tere talwwn ne maar dala, teri 'nahi' aur 'ha' ke sadke,
n jane fir sam hote-hote, 'nahi' rahegi ki 'ha' rahegi.

nigaahe shauk husn-e-yaar ki baatein sunati hai,
tabiyat ki fazaaye-sher mein khoyi si jaati hai.

dashte-ehsas mein hum itne akele kab the,
dukh to pehle hi the par itne ghanere kab the.





















 
http://www.newsongshd.com/

No comments:

Post a Comment